- Pahle 1kg chicken le lo
- 500+500gm alag alag karlo
- Uske baad palak aur HariDhaniya Ko pees lo
- 250gm piyaj bareek kaat lo
- Uske baad top me 150gm Tel daliye umse piyaj daalkar bron kar lo uske baad
- Jeera Kadi patta lassan ka pest daliye
- Pisa hua palak dhaniya usme Daal de
- Thoda sa garam masala thodi si laal mirch lassan adrak ka pest daalkar bhun lo
- Bhunne ke baad 500gm chicken daliye thoda sa green color daliye 15min tak pakne do dhak kar
- Uske baad 500gm dahi thoda
- Sa barista thoda sa Pani daalkar mix karke band kardo
- Ab aapka green masala taiyyar hai
- Uske baad dusra top lijiye
- 250gm tamatar pees lo 150gm desi ghee daliye jeera lassan ka pest daliye jab ye ho jaaye to pisa hua tamatar daal dijiye uske baad adark
- Lassan ka paste daliye
- Laal mirch haldi dhaniya dhoda sa garam masala daliye
- Uske baad 500gm chicken daliye
- Uske baad laal color daliye aur 15min pakne do
- Uske baad 250gm dahi tometo sos red chilli thoda thoda daliye
- Thoda sa barista daalkar mix kar lo
- Uske baad 1kg200gm chawal thoda sa namak daalkar Ubaal lo
- Dusra top lijiye usme green masala taiyyar Kiya hua hai
- Top daal dijiye
- Ubla hua chawal adha daal dijiye uske baad laal masala taiyyar Kiya hua hai
- Bacha hua chawal Usme hi daal do uske baad dum par rakh do 20min tak uske baad bhap nikalne lage tab thoda sa desi ghee chawal ke upar laga do
- Ab aapka tiranga pulav taiyyar hai
#Note namak apne test ke hisab se daalna